Tahir-ul-Qadri

Raizah raizah hey Ummat ka aman-o-sakoon
Haal-e-dil dostown kis zuban sey kahoon
Thokarein khaathi phirthi hey yeh dar badar
Khaa gia hey osey bhi fareyb-e-nazar
ManziloN ka nishaaN Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
Fikr-e-maghrib ney kitney bhujhaey diye
Mard-e-haq ney hein kitney jalaey diye
Shehr-e-jaan mein charaag-e-wafa bhi nahein
Shab ky honton pe harf-e-dua bhi nahein
Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
Gulastaan mein hein tehzeeb-e-maghrib ky rang
Hai dilon mein koi walwalah na umang
Jism-o-jaan hein muqayd meray aaj bhi
Ab barhanah saron pe sajay taaj bhi
Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
Apna kirdaar nilaam hey kar diya
Daman-e-dil janazon hi say bhar diya
Ab badan mein hirarat na husn-e-amal
Teri khusboo chaman mein na koi kanwal
Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
Maqtal-e-jaan mein mujrim hein sab ey Khuda
Bandagi ko sehr sey hein kab aashana
Mosam-e-gul gulastan mein kab aey ga
Phool, jugnu, dhank khwaab kab laey ga
Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
Maqtal-e-jaan mein mujrim hein sab ey Khuda
Bandagi ko sehr sey hein kab aashana
Mosam-e-gul gulastan mein kab aey ga
Phool, jugnu, dhank khwaab kab laey ga
Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
Ummat bey nawa ko nazar kha gaee
Ab muqadar pey kaali ghataa chaa gaee
Zindagi, miqtal ummat bey khabar
Har lutaira apna aaj hey mu’tabar
Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
Har jagah zalamon ney sitaya bhi hey
MaaN ki mamta ko shab bhar rulaya bhi hey
Aj har so ghata zulm ki chaee hey
Aansuwon kay samandar bohot laee hey
Manzilon ka nishaan Tahir-ul-Qadri
Ehd-e-nu ki zuban Tahir-ul-Qadri
 
by: Sahibzada Hussain Mohy ud Din Qadri
Memeber Supreme Council Minhaj ul Quran International

Comments